Wednesday, 11 April 2012

Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari............





Tere maathe ki bindiya chamakti rahe


Tere haathon ki mehndi mahekti rahe


Tere jode ki raunak salaamat rahe


Teri choodi hamesha khanakti rahe


Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari


Sada khush raho tum dua hai hamaari


Tumhaare kadam choome yeh duniya saari


Tumhaare liye hai bahaaron ke mausam


Na aaye kabhi zindagi mein koi gham


Hamaara hai kya yaar hum hai deewane


Hamaari tadap to koi bhi na jaane


Mile na tumhe ishq mein beqaraari


Ke janmon ke rishte nahin tode jaate


Safar mein nahin hamsafar chhode jaate


Na rasm o riwaajon ko tum bhool jaana


Jo li hai kasam to isse tum nibhaana


Ke humne to tanha umar hai guzaari


Sada khush raho tum dua hai hamaari






Jaa maine bhi pyaar kiya hai


Haan maine bhi pyaar kiya hai :'(

No comments: